Friday 17 June 2016

SADQA E FITRR

sadqa Fitr tamam musalmano per wajib hai kyun k Nabi kareem S.A.W ny issy mard' orat' choty aur bary sab per farz qarar dia hai.
sahi bukhari' al zakat' baab sadqa al fitr' hadis: 1503-1504 wa sahi muslim' alzakat' hadis : 984-
is ki miqdar khana' khajor' jou' kishmish' paniir wagairah ka aik sa'a hai aur app ny hukam dia hai k isy eid ul fitr ki namaz ki tarf nikalny sy pehly pehly ada ker dia jaye' yh fariza nabviya hai' RAmdan k ikhtatam per issy ada kerny ka hukam hai ta k lagv aru be hoda baro sy roza pak ho jaye aur maskino ko khana muyassir aa saky aur woh eid k din logo sy mangny aur sawal kerny sy be niyaz ho jayen. Wallah Al Muaqaf-
Shaikh ibn Jibreen

No comments:

Post a Comment

thanx for visiting vupastpapersmegacollection.blogspot.com/